Movie review score
5
Zindagi
Se Bas Yehi Gila Hain,
Khushi Ke Baadh, Kyu Gham Mila Hain,
Lena Hi Tha Karar To Bol Hi Deti,
Har Saas Zindagi Ke Naam Kar Deta !!
Tumhe Mai Pyar Kahu Yaar Kahu Ya Jane Jana,
Naam Kuch Bhi Rahe Tamana Hai Tumse Mil Jana,
Jindagi Rukati Nahi Kisike Liye Chhod Apni Raahein,
Raah Pal Bhar Ko Badal Kar Meri Raahein Chamaka Jana !!
Dil To Uske Seene Mein Bhi Machalta Hoga
Husn Bhi So-So Rang Badalta Hoga
Uthti Hongi Jab Nigahein Uski
Khud "Khuda" Bhi Gir-Gir Ke Sambhalta Hoga !!
Patjhad
Me Patte Jhad Jayenge
Sawan Baad Panchi Udd Jayenge
Jab Ji Chahe Yaad Karna Humko
Hum Kayaamat Ke Din Bhi Chale Aayenge !!
Ajnbi
Se Guftgu Kya Ki Kyamat Ho Gayi
Or Sare Sahar Me Ye Khabar Aam Ho Gayi
Ab Tumhare Bina ek pal Bhi Karar Muskil Hai
Kyuki Dosti Ka Irada Tha Or Mohabbat Ho Gayi !!
Chand
Utra Tha Humare Aangan Mein,
Yeh Sitaron Ko Gawara Na Hua
Hum Bhi Sitaron Se Kaise Gila Karte
Jab Chand Hi Humara Na Hua !!
Jab Kisi Ke Sapne Kisi Ke Armaan Ban Jaye
Jab Kisi Ki Hasi Kisi Ki Muskan Ban Jaye
Bepanah Pyar Kehte Hain Use
Jab Kisi Ki Saanse Kisi Ki Jaan Ban Jaye !!
Tanhai Mein Fariyaad To Kar Sakte Hain
Viraane Ko Abaad To Kar Sakte Hain
Kya Kare Tumse Mil Nahin Sakte
Lekin Tumhein Yaad To Kar Sakte Hain !!
Kuch Ansu Hote Hai Jo Behte Nahi
Log Apne Pyar Ke Bina Duniya Me Rehte Nahi
Usko Bhi Pyar Hai Humse Par Na Jane Kyon
Woh Humse Kehte Nahi !!
Bana Bana Ke Tamanna Mitai Jati Hai
Tarah Tarah Se Wafaye Azmai Jati Hai
Usko Humse Mohabbt Nai to Phir Quo Juka
Juka Ke Nazare Milai Jati Hai !!
Aap Jab Samne Se Gujar Jate Hai
Arman Dil Ke Ubar Jaate Hai
Dekh Kar Apki Pyari Surat Sahme
Hue Phool Bhi Nikhar Jate Hai !!
Jiyo
Itna Ki Marna Mushkil Ho Jaye
Hasna Itna Ki Rona Mushkil Ho Jaye
Kisi Se Pyaar Karna Buri Baat To Nahi
Magar Pyaar Karna To Itna Ki Bhulana Mushkil Ho Jaye !!
Na Tasveer Hai Uski Jo Didar Kiya Jaye,
Na Vo Hai Pass Jo Pyar Kiya Jaye
Ye Kaisa Dard Diya Hai Us Bedard Ne
Na Usse Kuch Kaha Jaye Na Us Bin Raha Jaye !!
Love & Smile
Rulana
Har Kisi Ko Aata Hai,
Hasana
Kisi Kisi Ko Aata Hai,
Rula
Ke Jo Mana Le Wo Sachha Yaar Hai
Aur
Jo Rula Ke Khudh Bhi Aansu Bahaye
Wo
Tumhara Pyar Hai !!
Aaj Har Ek Pal Khoobsurat Hai
Dil Me Mere Sirf Teri Surat Hai
Kuch Bhi Kahe Ye Duniya Gham Nahi
Duniya Se Jyada Mujhe Teri
Zarurat Hai.
Bar
Bar Chahe Dil Rota Hai
Par
Isme Bhi Chahat Ka Nasha Hota Hai
Jitna
Chahe Bach Lo, Par Zindagi Mein
Ek
Bar Pyaar Jaroor Hota Hai !!
Dard Me Koi Mausam Pyara Nahin
Hota
Dil Ho Pyasa To Pani Se Gujara
Nahin Hota
Dekhe Zara Koi Bebsi Hamari,Hum
Uske Ho
Gaye Jo Hamara Nahin Hota !!
Hum
Ne Tanhai Me Zanzeer Se Baaten Ki Hai
Apni
Soi Huwi Taqdeer Se Baate Ki Hai
Tere
Didar Ki Kya Tamanna Hogi font>
Zindagi
Bhar Teri Tasweer Se Baaten Ki Hai
Pyar Me Bewafai Mile To Gum Na
Karna
Apni Aankhe Kisi Ke Liye Num Na
Karna
Wo Chahe Laakh Nafrat Kare Tumse
Par Tum Apna Pyar Kabhi Uske Liye
Kam Na Karna
Aadat
Hai Teri Yaad Aane Ki Ankhoko
Teri
Ek Zalak Pane Ki Hamari To
Tamanna
Hai Apko Pane Ki Par Shayad
Aapki
Aadat Hai Hame Tadpane Ki!!
Har Baat Ka Koi Jawab Nhi Hota,
Har Ishq Ka Naam Khrab Nhi Hota,
Yu To Zhoom Lete He Nashe Me Pine
Wale,
Par Har Nashe Ka Naam Sharab Nhi
Hota..
Kitna
Haseen Phir Se Nazaara Bana Diya,
Jaise
Khuda Ne Tum Ko Doobaara Bana Diya,
Aaya
Tha Imtihaan Me Mazmoon Husn Par,
Hum
Ne Paper Par Chehra Tumhaara Bana Diya
Kya Gham He Kya Khushi Malum Nahi,
Wo Apna Hai Ki Ajnabi Malum Nahi,
Jiske Bina Ek Pal Nahi Guzarta,
Kaise Guzregi Zindagi Malum Nahi
Pyaar
Pe Bas To Nahi Hai Mera
Lekin
Fir Bhi Tu Mujhe Bata De Ki
Tujhe
Pyaar Karu Ki Na Tune Khud
Apni
Adao Se Jagaya Hai Jinhe Un
Tamanao
Ka Ijhar Karu Ki Na !!
Dur Hi Sahi Kinara To Hai,
Tim-Timata Hi Sahi Sitara To Hai,
Ho Jati Hai,Tumari Yaad Se Hi
Tassali,
Tinka Hi Sahi Sahara To Hai !!
You
Mile Ke Mulakat Na Hosaki
Suraj
Duba Par Rat Hona Saki
Meri
Khamosh Nigahe Har Baat Keh Gai
Aur
Usko Shikayat Hai Ki Bat Ho Na Saki..
kabhii baadal, kabhii kashtii, kabhii gardaab lage
vo badan jab bhii saje koii nayaa Khwaab lage
ek chup chaap sii laDkii, na kahaanii na Ghazal
yaad jo aaye kabhii resham-o-kimKhwaab lage
abhii be-saaya hai diivaar kahiin loch na Kham
koii khiDkii kahiiN nikle kahiiN mehraab lage
ghar ke aaNgan meN bhaTaktii huii din bhar kii thakan
raat Dhalte hii pake khet sii shaadaab lage
kudh ko is dil mei sajane ki ijazat de do
Mujh ko apna banane ki ijazat to de do
Tum meri zindgi ka ek hasin lamha ho
Phulon se khud ko sajane ki ijazat de do